Main Pal Do Pal Ka Shayar Hoon
Main pal do pal ka shayar hoon
pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai
pal do pal meri jawani hai
main pal do pal ka shayar hoon
Mujhse pahele kitne shayar
aaye aur aakar chaley gaye
kuch anhein barkar laut gaye
kuch nagme gaa kar chaley gaye
woh bhi ek pal ka kissa thhey
main bhi ek pal ka kissa hoon
kal tumse jhuda ho jaunga
jo aaj tumhara hissa hoon
main pal do pal ka shayar hoon
Kal aur ayenge nagmon ki
khilti kaliyan chunnewale
mujhese behetar kahenewale
tumse behetar sunnewale
kal koi mujhko yaad karhey
kyon koi mujhko yaad karhey
masroof zamana mere liye
kyon waqt apna barbadh kare
main pal do pal ka shayar hoon