Zindagi Ke Safar Me Guzar Jate Hain Jo Makam
Aap Ki Kasam
| zindagi ke safar mein guzar jate hain jo makam, woh phir nahin aate, woh phir nahin aate! zindagi ke safar mein, guzar jate hain jo makam woh phir nahin aate, woh phir nahin aate phool khilte hain, log milte hain phool khilte hain, log milte hain magar patjhad main jo phool murjha jate hain woh baharon ke aane se khilte nahin kuchh log ek roz jo bichad jate hain woh hazaron ke aane se milte nahin umr bhar chahe koi pukara kare unka naam woh phir nahin aate, woh phir nahin aate aankh dhoka hai kya bharosa hai aankh dhoka hai kya bharosa hai suno dosto shak dosti ka dushumann hai apne dilme ise ghar banane nado kal tadap naapade yaad mein JinKi roklo rooth kar unko jaane na do baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon salaam woh phir nahi aate woh phir nahi aate subaah aati hai , raat jaati hai subaah aati hai , raat jaati hai yuhi waqt chalta hi rehta hai rookta nahi ek pal me ye aage nikal jaata hai aadmi theek se dekh paata nahin aur parde pe manzar badal jaata hai, ek baar chale jaate hai jo din-raat-subah-shaam woh! woh phir nahi aate woh phir nahi aate! zindagi ke safar mein, guzar jate hain jo makam woh phir nahin aate, woh phir nahin aate! |